KHauf-e-zulmat se larazti hai faza ab ke baras
ḳhauf-e-zulmat se laraztī hai fazā ab ke baras
zahr meñ Duub ga.ī bād-e-sabā ab ke baras
chain saḌkoñ pe mayassar na sukūñ hai ghar meñ
is tarah phailī hai dahshat kī vabā ab ke baras
dil kī āñkhoñ ne haqā.eq se churā liiñ nazreñ
oḌh lī fikr ne barfīlī ridā ab ke baras
paañv meñ Daal dī zanjīr havā-e-shab ne
phir bhī āzād hai mausam kī anā ab ke baras
maiñ bhī guzrā huuñ junūñ-ḳhez marāhil se magar
phaaḌ kar pheñk dī vahshat kī qabā ab ke baras
kaise aa.egā yahāñ koī parinda 'nashtar'
karb-angez hai maujoñ kī sadā ab ke baras
KHauf-e-zulmat se larazti hai faza ab ke baras
zahr mein Dub gai baad-e-saba ab ke baras
chain saDkon pe mayassar na sukun hai ghar mein
is tarah phaili hai dahshat ki waba ab ke baras
dil ki aankhon ne haqaeq se chura lin nazren
oDh li fikr ne barfili rida ab ke baras
panw mein Dal di zanjir hawa-e-shab ne
phir bhi aazad hai mausam ki ana ab ke baras
main bhi guzra hun junun-KHez marahil se magar
phaD kar phenk di wahshat ki qaba ab ke baras
kaise aaega yahan koi parinda 'nashtar'
karb-angez hai maujon ki sada ab ke baras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.