Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHauf kab nam-e-‘ishq se hai mujhe

Naqi Naqvi

KHauf kab nam-e-‘ishq se hai mujhe

Naqi Naqvi

MORE BYNaqi Naqvi

    ḳhauf kab nām-e-‘ishq se hai mujhe

    'ishq ilzām-e-‘ishq se hai mujhe

    hai mohabbat kārobār mirā

    fā.eda dām-e-‘ishq se hai mujhe

    kar ke āġhāz chhoḌ detā huuñ

    ḳhauf anjām-e-‘ishq se hai mujhe

    pyaas paanī se bhī na bujh paa.ī

    aasrā jām-e-‘ishq se hai mujhe

    kuud kar sab ne ḳhud-kushī kar

    mas.ala bām-e-'ishq se hai mujhe

    buġhz tohfe meñ mil na jaa.e 'naqī'

    Dar to in'ām-e-'ishq se hai mujhe

    KHauf kab nam-e-‘ishq se hai mujhe

    'ishq ilzam-e-‘ishq se hai mujhe

    hai mohabbat ka karobar mera

    faeda dam-e-‘ishq se hai mujhe

    kar ke aaghaz chhoD deta hun

    KHauf anjam-e-‘ishq se hai mujhe

    pyas pani se bhi na bujh pai

    aasra jam-e-‘ishq se hai mujhe

    kud kar sab ne KHud-kushi kar li

    masala baam-e-'ishq se hai mujhe

    bughz tohfe mein mil na jae 'naqi'

    Dar to in'am-e-'ishq se hai mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now