KHauf manjdhaar se jo khata hai
ḳhauf mañjdhār se jo khātā hai
vo kināre pe Duub jaatā hai
tiir is zāviye se aatā hai
shak mirā dostoñ pe jaatā hai
maiñ ne baisākhiyāñ jise dī thiiñ
vo mujhe dauḌnā sikhātā hai
saañp kī keñchulī ko lahrā kar
tū saperoñ ko kyā Darātā hai
dard bevāoñ kā vo kyā jaane
jo harī chūḌiyāñ banātā hai
paañv us ke bhī narm hote haiñ
jo tirī pālkī uThātā hai
chhīn letī hai bāl-o-par qudrat
mor jab raqs bhuul jaatā hai
ik farishta uḌaan se pahle
tere kūche se kuchh uThātā hai
KHauf manjdhaar se jo khata hai
wo kinare pe Dub jata hai
tir is zawiye se aata hai
shak mera doston pe jata hai
main ne baisakhiyan jise di thin
wo mujhe dauDna sikhata hai
sanp ki kenchuli ko lahra kar
tu saperon ko kya Daraata hai
dard bewaon ka wo kya jaane
jo hari chuDiyan banata hai
panw us ke bhi narm hote hain
jo teri palki uThata hai
chhin leti hai baal-o-par qudrat
mor jab raqs bhul jata hai
ek farishta uDan se pahle
tere kuche se kuchh uThata hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 55)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.