KHauf tamir ki buniyaad mein rakkha hua hai
ḳhauf ta.amīr kī buniyād meñ rakkhā huā hai
hādisa sūrat-e-ījād meñ rakkhā huā hai
ek imkān chhupā thā kisī lahje meñ vahāñ
ik tahayyur yahāñ rūdād meñ rakkhā huā hai
kaise mizhgān-e-hayā toḌ ke bāhar nikle
girya ik zabt kī mī.ād meñ rakkhā huā hai
saañs lete hī bhaḌaktā hai mire siine meñ
ik diyā sā jo tirī yaad meñ rakkhā huā hai
ḳhas-o-ḳhāshāk hue ḳham to khulī ḳhushbū-e-zulf
lutf ya.anī kisī uftād meñ rakkhā huā hai
in sitāroñ se bhalā kaun sune chang-o-rabāb
zaḳhma-e-baḳht zamīñ-zād meñ rakkhā huā hai
KHauf tamir ki buniyaad mein rakkha hua hai
hadisa surat-e-ijad mein rakkha hua hai
ek imkan chhupa tha kisi lahje mein wahan
ek tahayyur yahan rudad mein rakkha hua hai
kaise mizhgan-e-haya toD ke bahar nikle
girya ek zabt ki miad mein rakkha hua hai
sans lete hi bhaDakta hai mere sine mein
ek diya sa jo teri yaad mein rakkha hua hai
KHas-o-KHashak hue KHam to khuli KHushbu-e-zulf
lutf yani kisi uftad mein rakkha hua hai
in sitaron se bhala kaun sune chang-o-rabab
zaKHma-e-baKHt zamin-zad mein rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.