KHauf us ka usi se Darta hun
ḳhauf us kā usī se Dartā huuñ
maiñ kahāñ aadmī se Dartā huuñ
tīrgī ab mirā muqaddar hai
is liye raushnī se Dartā huuñ
maut bar-haq hai aa.egī lekin
terī chāragarī se Dartā huuñ
jis kā ehsān bojh ban jaa.e
bas usī aadmī se Dartā huuñ
āḳhirat kā nahīñ ḳhayāl zarā
dil kī is gum-rahī se Dartā huuñ
jis se aa.e amal meñ kotāhī
maiñ usī āgahī se Dartā huuñ
yuuñ mile mujh ko dostī meñ fareb
aaj tak dostī se Dartā huuñ
maiñ bhī 'maqsūd' daur-e-hāzir meñ
maut yā zindagī se Dartā huuñ
KHauf us ka usi se Darta hun
main kahan aadmi se Darta hun
tirgi ab mera muqaddar hai
is liye raushni se Darta hun
maut bar-haq hai aaegi lekin
teri chaaragari se Darta hun
jis ka ehsan bojh ban jae
bas usi aadmi se Darta hun
aaKHirat ka nahin KHayal zara
dil ki is gum-rahi se Darta hun
jis se aae amal mein kotahi
main usi aagahi se Darta hun
yun mile mujh ko dosti mein fareb
aaj tak dosti se Darta hun
main bhi 'maqsud' daur-e-hazir mein
maut ya zindagi se Darta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.