KHayal aur fikr ko bulandi nazar ko baalidgi milegi
ḳhayāl aur fikr ko bulandī nazar ko bālīdgī milegī
qadam tū duniyā-e-ishq meñ rakh tujhe na.ī zindagī milegī
junūñ ko apne ḳhirad banā kar jo zindagī ko sañvār legā
yahāñ usī sāhib-e-junūñ ko ḳhirad kī paiġhambarī milegī
ye chaar din kī masarratoñ kā fareb bhī kitnā der-pā hai
umiid hai lamha lamha dil ko halāvat-e-zindagī milegī
kise gumāñ thā ki daur aisā bhī ham pe guzregā zindagī meñ
na ishrat-e-ḳhvājgī milegī na lazzat-e-bandagī milegī
rahe haiñ muddat se ham-safar ham hai phir bhī begānagī kā aalam
kise ḳhabar thī ki har tamanna ba-sūrat-e-ajnabī milegī
jadīd tahzīb kī ravish par javāñ rahe gāmzan tū ik din
havas ke halqe meñ nīm-uryāñ bahīmiyat nāchtī milegī
badalte hālāt kī numā.ish hameñ ye paiġhām de rahī hai
inhī añdheroñ se bazm-e-gītī ko ek din raushnī milegī
ye duniyā 'naġhmī' hai aatī jaatī nahīñ hai ye umr-e-jāvedānī
sajegī jab bhī tumhārī mahfil hamārī us meñ kamī milegī
KHayal aur fikr ko bulandi nazar ko baalidgi milegi
qadam tu duniya-e-ishq mein rakh tujhe nai zindagi milegi
junun ko apne KHirad bana kar jo zindagi ko sanwar lega
yahan usi sahib-e-junun ko KHirad ki paighambari milegi
ye chaar din ki masarraton ka fareb bhi kitna der-pa hai
umid hai lamha lamha dil ko halawat-e-zindagi milegi
kise guman tha ki daur aisa bhi hum pe guzrega zindagi mein
na ishrat-e-KHwajgi milegi na lazzat-e-bandagi milegi
rahe hain muddat se ham-safar hum hai phir bhi beganagi ka aalam
kise KHabar thi ki har tamanna ba-surat-e-ajnabi milegi
jadid tahzib ki rawish par jawan rahe gamzan tu ek din
hawas ke halqe mein nim-uryan bahimiyat nachti milegi
badalte haalat ki numaish hamein ye paigham de rahi hai
inhi andheron se bazm-e-giti ko ek din raushni milegi
ye duniya 'naghmi' hai aati jati nahin hai ye umr-e-jawedani
sajegi jab bhi tumhaari mahfil hamari us mein kami milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.