KHayal-e-ghairat-e-nahid phir maiyyat-e-dil
ḳhayāl-e-ġhairat-e-nāhīd phir ma.iyyat-e-dil
so Dagmagāne lagī aaj phir se niyyat-e-dil
kuchh aur khultā chalā jaa.e hai gulāb-badan
kuchh aur gahrī huī jaatī hai aziyyat-e-dil
kise dikhā.iye kyā kyā the ḳhvāb āñkhoñ meñ
kise sunā.iye kyā kyā rahī mashiyyat-e-dil
ḳhushā ki toḌ ga.e vo bhī rishta-e-ummīd
so un ke baab meñ jaa.ez rahī ḳhashiyyat-e-dil
ye kyoñ uḌaa.ī ga.ī dhajjiyāñ haiñ ḳhvāboñ kī
ye hukm haa.e huā thā ki thī vasiyyat-e-dil
na jaane khoyā kahāñ hai vaqār-e-jāñ-afroz
na jaane soī kahāñ jā ke hai hamiyyat-e-dil
ye muflisī meñ bhī andāz shāhzādoñ ke
yahī to Thahrī hai me.arāj-e-āzmiyyat-e-dil
nasīb ho ga.ī dil ko bhī āḳhirash me.arāj
bikhar chukī jo har ik taur sālmiyyat-e-dil
KHayal-e-ghairat-e-nahid phir maiyyat-e-dil
so Dagmagane lagi aaj phir se niyyat-e-dil
kuchh aur khulta chala jae hai gulab-badan
kuchh aur gahri hui jati hai aziyyat-e-dil
kise dikhaiye kya kya the KHwab aankhon mein
kise sunaiye kya kya rahi mashiyyat-e-dil
KHusha ki toD gae wo bhi rishta-e-ummid
so un ke bab mein jaez rahi KHashiyyat-e-dil
ye kyon uDai gai dhajjiyan hain KHwabon ki
ye hukm hae hua tha ki thi wasiyyat-e-dil
na jaane khoya kahan hai waqar-e-jaan-afroz
na jaane soi kahan ja ke hai hamiyyat-e-dil
ye muflisi mein bhi andaz shahzadon ke
yahi to Thahri hai mearaj-e-azmiyyat-e-dil
nasib ho gai dil ko bhi aaKHirash mearaj
bikhar chuki jo har ek taur salmiyyat-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.