KHayal-e-gardish-e-sham-o-sahar mein rahta hun
ḳhayāl-e-gardish-e-shām-o-sahar meñ rahtā huuñ
maiñ ghar meñ rahte hue bhī safar meñ rahtā huuñ
maiñ apne jism pe tanqīd kar nahīñ saktā
magar ye sach hai ki miTTī ke ghar meñ rahtā huuñ
mujhe qayām kahāñ ab mujhe talāsh na kar
hai merā naam musāfir safar meñ rahtā huuñ
maiñ ek dard sahī phir bhī miT nahīñ saktā
sabab ye hai ki dil-e-chāra-gar meñ rahtā huuñ
mujhī se māñge hai sailāb rāsta 'saulat'
ye jāntā hai ki miTTī ke ghar meñ rahtā huuñ
KHayal-e-gardish-e-sham-o-sahar mein rahta hun
main ghar mein rahte hue bhi safar mein rahta hun
main apne jism pe tanqid kar nahin sakta
magar ye sach hai ki miTTi ke ghar mein rahta hun
mujhe qayam kahan ab mujhe talash na kar
hai mera nam musafir safar mein rahta hun
main ek dard sahi phir bhi miT nahin sakta
sabab ye hai ki dil-e-chaara-gar mein rahta hun
mujhi se mange hai sailab rasta 'saulat'
ye jaanta hai ki miTTi ke ghar mein rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.