KHayal-e-husn zaruri hai zindagi ke liye
ḳhayāl-e-husn zarūrī hai zindagī ke liye
charāġh le lo añdhere meñ raushnī ke liye
chhupā.e se bhī kahīñ ishq-o-mushk chhupte haiñ
savāl ban ga.ī be-pardagī kisī ke liye
mujhe jo faiz uThānā hai maiñ uThā lūñgā
ġharaz nigāh-e-karam hai vo ab kisī ke liye
vo dil nazar se girā deñ to ġham kī baat nahīñ
ye jaam vaz.a huā hai shikastagī ke liye
bahakne lagtī hai duniyā sharābiyoñ kī tarah
nazar uThānā bhī dushvār hai kisī ke liye
zamāna jab kabhī āmāda-e-fareb huā
kisī ne parda uThāyā hai āgahī ke liye
surūr-e-chashm-e-nigārāñ na pūchhiye 'mānī'
tabī.at aaj bhī mauzūñ hai shā.irī ke liye
KHayal-e-husn zaruri hai zindagi ke liye
charagh le lo andhere mein raushni ke liye
chhupae se bhi kahin ishq-o-mushk chhupte hain
sawal ban gai be-pardagi kisi ke liye
mujhe jo faiz uThana hai main uTha lunga
gharaz nigah-e-karam hai wo ab kisi ke liye
wo dil nazar se gira den to gham ki baat nahin
ye jam waza hua hai shikastagi ke liye
bahakne lagti hai duniya sharabiyon ki tarah
nazar uThana bhi dushwar hai kisi ke liye
zamana jab kabhi aamada-e-fareb hua
kisi ne parda uThaya hai aagahi ke liye
surur-e-chashm-e-nigaran na puchhiye 'mani'
tabiat aaj bhi mauzun hai shairi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.