KHayal-e-jaanan utar raha hai dil-e-hazin par
ḳhayāl-e-jānāñ utar rahā hai dil-e-hazīñ par
hai āsmāñ kā nuzūl yā'nī mirī zamīñ par
maiñ laakh rūThūñ use manāne kā Dhab pata hai
bas ek bosa hasīñ laboñ kā mirī jabīñ par
jahāñ pe ham donoñ pichhlī sardī meñ mil chuke haiñ
rakkhe haiñ ab bhī gulāb sūkhe hue vahīñ par
maiñ us kī ḳhātir junūñ kī had se guzar gayā huuñ
ḳhudā kī bandī hai ab bhī qaa.em nahīñ nahīñ par
na jaane kitnī hasīn āñkheñ mirī taraf haiñ
magar ye āñkheñ Tikī haiñ us ek nāznīñ par
hamārī ġhazloñ meñ yuuñ to sab kuchh hī normal hai
bas āñsuoñ ke nishāñ mileñge kahīñ kahīñ par
na shohratoñ kī bulandiyoñ par gumān karnā
palaT ke aanā paḌegā ik din tumheñ zamīñ par
KHayal-e-jaanan utar raha hai dil-e-hazin par
hai aasman ka nuzul ya'ni meri zamin par
main lakh ruThun use manane ka Dhab pata hai
bas ek bosa hasin labon ka meri jabin par
jahan pe hum donon pichhli sardi mein mil chuke hain
rakkhe hain ab bhi gulab sukhe hue wahin par
main us ki KHatir junun ki had se guzar gaya hun
KHuda ki bandi hai ab bhi qaem nahin nahin par
na jaane kitni hasin aankhen meri taraf hain
magar ye aankhen Tiki hain us ek naznin par
hamari ghazlon mein yun to sab kuchh hi normal hai
bas aansuon ke nishan milenge kahin kahin par
na shohraton ki bulandiyon par guman karna
palaT ke aana paDega ek din tumhein zamin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.