KHayal-e-jubba-o-dastar bhi nahin baqi
ḳhayāl-e-jubba-o-dastār bhī nahīñ baaqī
vo kashmakash hai ki ik taar bhī nahīñ baaqī
chaman ko rauñd ga.e qāfile bahāroñ ke
guloñ kā zikr hī kyā ḳhaar bhī nahīñ baaqī
lagī huī haiñ zamīr-e-hayāt par mohreñ
kisī meñ jur.at-e-iz.hār bhī nahīñ baaqī
kabhī kabhī jo rag-e-jāñ se phuuT paḌtā hai
vo naġhma-e-rasn-o-dār bhī nahīñ baaqī
hameñ to kufr kā ta.ana diyā thā vaa.iz ne
haram meñ ab koī dīñ-dār bhī nahīñ baaqī
luTā jo apnā gulistāñ to ham ne ye samjhā
koī bahisht ufuq paar bhī nahīñ baaqī
guzar ga.e vo suḳhan-fahmiyoñ ke hañgāme
koī kisī kā taraf-dār bhī nahīñ baaqī
KHayal-e-jubba-o-dastar bhi nahin baqi
wo kashmakash hai ki ek tar bhi nahin baqi
chaman ko raund gae qafile bahaaron ke
gulon ka zikr hi kya KHar bhi nahin baqi
lagi hui hain zamir-e-hayat par mohren
kisi mein jurat-e-izhaar bhi nahin baqi
kabhi kabhi jo rag-e-jaan se phuT paDta hai
wo naghma-e-rasn-o-dar bhi nahin baqi
hamein to kufr ka tana diya tha waiz ne
haram mein ab koi din-dar bhi nahin baqi
luTa jo apna gulistan to hum ne ye samjha
koi bahisht ufuq par bhi nahin baqi
guzar gae wo suKHan-fahmiyon ke hangame
koi kisi ka taraf-dar bhi nahin baqi
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 244)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.