KHayal-e-ranj-o-rahat se bari malum hoti hai
ḳhayāl-e-ranj-o-rāhat se barī ma.alūm hotī hai
mohabbat māvarā-e-zindagī ma.alūm hotī hai
ajab kaifiyyat-e-ḳhud-āgahī ma.alūm hotī hai
ḳhudī hotī hai paidā be-ḳhudī ma.alūm hotī hai
chaman meñ kitnī hī sayyād-o-gulchīñ sāzisheñ kar leñ
mashiyyat to magar kuchh aur hī ma.alūm hotī hai
mire māhaul kī pastī kā me.aar itnā ūñchā hai
ki har zillat vaqār-e-zindagī ma.alūm hotī hai
baḌī mushkil se is manzil pe pahuñchā huuñ mohabbat kī
fuġhāñ hoñToñ pe aa kar jab hañsī ma.alūm hotī hai
abas hai chārasāzo ab ilāj-e-dil ke rahne do
mujhe to ab ye kashtī Dūbtī ma.alūm hotī hai
ġhamoñ kī dhuup meñ jaltā huuñ go us kī mohabbat meñ
magar phir bhī vo sūrat chāñd sī ma.alūm hotī hai
bharī mahfil meñ tum ne 'zabt' se kyā pher liiñ āñkheñ
zamāne kī nazar badlī huī ma.alūm hotī hai
KHayal-e-ranj-o-rahat se bari malum hoti hai
mohabbat mawara-e-zindagi malum hoti hai
ajab kaifiyyat-e-KHud-agahi malum hoti hai
KHudi hoti hai paida be-KHudi malum hoti hai
chaman mein kitni hi sayyaad-o-gulchin sazishen kar len
mashiyyat to magar kuchh aur hi malum hoti hai
mere mahaul ki pasti ka mear itna uncha hai
ki har zillat waqar-e-zindagi malum hoti hai
baDi mushkil se is manzil pe pahuncha hun mohabbat ki
fughan honTon pe aa kar jab hansi malum hoti hai
abas hai chaarasazo ab ilaj-e-dil ke rahne do
mujhe to ab ye kashti Dubti malum hoti hai
ghamon ki dhup mein jalta hun go us ki mohabbat mein
magar phir bhi wo surat chand si malum hoti hai
bhari mahfil mein tum ne 'zabt' se kya pher lin aankhen
zamane ki nazar badli hui malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.