KHayal-e-yar mein is tarah gum hua hun main
ḳhayāl-e-yār meñ is tarah gum huā huuñ maiñ
ki intizār kī tasvīr ban gayā huuñ maiñ
uThā to dard kī mānind un kī mahfil se
girā to ashk kī sūrat bikhar gayā huuñ maiñ
mujhe ye aa.iiñ dam-e-naz.a hichkiyāñ kaisī
zarūr aaj unheñ yaad aa gayā huuñ maiñ
sajā ke aañkh meñ aañsū jalā ke ishq meñ dil
jahān-e-ishq kī raunaq baḌhā rahā huuñ maiñ
hameñ to soz-e-judā.ī ne ḳhaak kar Daalā
vo kah rahe haiñ abhī aazmā rahā huuñ maiñ
sukūn kaisā kahāñ kī tasalliyāñ 'shabbīr'
ḳhud apne dard kī lazzat meñ kho gayā huuñ maiñ
KHayal-e-yar mein is tarah gum hua hun main
ki intizar ki taswir ban gaya hun main
uTha to dard ki manind un ki mahfil se
gira to ashk ki surat bikhar gaya hun main
mujhe ye aain dam-e-naza hichkiyan kaisi
zarur aaj unhen yaad aa gaya hun main
saja ke aankh mein aansu jala ke ishq mein dil
jahan-e-ishq ki raunaq baDha raha hun main
hamein to soz-e-judai ne KHak kar Dala
wo kah rahe hain abhi aazma raha hun main
sukun kaisa kahan ki tasalliyan 'shabbir'
KHud apne dard ki lazzat mein kho gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.