KHayal hai na tasawwur mushahida hai na KHwab
ḳhayāl hai na tasavvur mushāhida hai na ḳhvāb
tarah tarah se uThātā huuñ apne ruḳh se naqāb
uThī nigāh to har samt se uThe parde
nazar hijāb meñ hai to jamāl zer-e-hijāb
na.e maqām na.ī manzileñ na.ī rāheñ
qadam qadam pe junūñ ke liye na.e ādāb
nigāh-e-'ishq haqīqat hai husn-e-'ālam kī
matā’-e-husn bahut jins-e-‘āshiqī kam-yāb
zabān hai na bayāñ hai magar junūñ ke liye
tirī adā.eñ takallum tirī nigāh ḳhitāb
mirā vo pīr-e-muġhāñ fakHr-e-mai-kashāñ hai vahī
jo kar sake ġham-e-hastī ko ġharq-e-jām-e-sharāb
vo ḳhaam hai jo talab-gār-e-jām hai saaqī
tirī nazar hai hameñ to musabbib-ul-asbāb
ham un ko dekhne vaale haiñ ham ko dekh 'zahīn'
kabhī ye ham ne na dekhā ye lutf hai ki 'itāb
KHayal hai na tasawwur mushahida hai na KHwab
tarah tarah se uThata hun apne ruKH se naqab
uThi nigah to har samt se uThe parde
nazar hijab mein hai to jamal zer-e-hijab
nae maqam nai manzilen nai rahen
qadam qadam pe junun ke liye nae aadab
nigah-e-'ishq haqiqat hai husn-e-'alam ki
mata’-e-husn bahut jins-e-‘ashiqi kam-yab
zaban hai na bayan hai magar junun ke liye
teri adaen takallum teri nigah KHitab
mera wo pir-e-mughan fakHr-e-mai-kashan hai wahi
jo kar sake gham-e-hasti ko gharq-e-jam-e-sharab
wo KHam hai jo talab-gar-e-jam hai saqi
teri nazar hai hamein to musabbib-ul-asbab
hum un ko dekhne wale hain hum ko dekh 'zahin'
kabhi ye hum ne na dekha ye lutf hai ki 'itab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.