KHayal-o-fikr ka sadqa utarte rahiye
ḳhayāl-o-fikr kā sadqa utārte rahiye
lahū pilā ke ġhazal ko sañvārte rahiye
ġhurūr-e-fat.h meñ dushman zarūr Dūbegā
hai jītnā to abhī jang hārte rahiye
nigāh-o-dil se ye kahtī hai aa.ine kī kashish
kahīñ na dekhiye ham ko nihārte rahiye
ġham-o-alam kī tarah dukh bhare dinoñ jaisā
kisī bahāne hameñ bhī guzārte rahiye
purānī choT kī yādoñ ko le ke āñkhoñ meñ
jabīñ pe aur lakīreñ ubhārte rahiye
akele-pan se lage Dar to lāzmī hai 'fahīm'
añdherī raat meñ ḳhud ko pukārte rahiye
KHayal-o-fikr ka sadqa utarte rahiye
lahu pila ke ghazal ko sanwarte rahiye
ghurur-e-fath mein dushman zarur Dubega
hai jitna to abhi jang haarte rahiye
nigah-o-dil se ye kahti hai aaine ki kashish
kahin na dekhiye hum ko nihaarte rahiye
gham-o-alam ki tarah dukh bhare dinon jaisa
kisi bahane hamein bhi guzarte rahiye
purani choT ki yaadon ko le ke aankhon mein
jabin pe aur lakiren ubhaarte rahiye
akele-pan se lage Dar to lazmi hai 'fahim'
andheri raat mein KHud ko pukarte rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.