KHayal-o-KHwab ban ke mere zehn se lipaT gae
ḳhayāl-o-ḳhvāb ban ke mere zehn se lipaT ga.e
vo itnī duur ho ga.e ki fāsle simaT ga.e
sabā hameñ talāsh kar ke zaḳhm-zaḳhm ho ga.ī
sunā hai ḳhushbuoñ ke saare qāfile palaT ga.e
ta'alluqāt kā safar hai aur tez dhuup hai
rafāqatoñ ke rāste ke saare peḌ kaT ga.e
ḳharāb mausamoñ ke shor meñ ḳhulūs bah gayā
jo nāḳhudā bane the apnī naav le ke haT ga.e
ḳhalā meñ ab badan sañbhālte raho tamām umr
ki hādse to paañv kī zamīn le ke haT ga.e
adhūrī zindagī ko ab liye phireñ kahāñ kahāñ
kitāb-e-dil se us ke naam ke varq to phaT ga.e
vo aañkh bhar ke apne daaġh dekhtā na dekhtā
ye ā.inoñ ko kyā huā ki sāmne se haT ga.e
na.ī sadī salām karne aa rahī thī 'ja.afarī'
charāġh pheñk kar hamīñ guphāoñ meñ palaT ga.e
KHayal-o-KHwab ban ke mere zehn se lipaT gae
wo itni dur ho gae ki fasle simaT gae
saba hamein talash kar ke zaKHm-zaKHm ho gai
suna hai KHushbuon ke sare qafile palaT gae
ta'alluqat ka safar hai aur tez dhup hai
rafaqaton ke raste ke sare peD kaT gae
KHarab mausamon ke shor mein KHulus bah gaya
jo naKHuda bane the apni naw le ke haT gae
KHala mein ab badan sanbhaalte raho tamam umr
ki hadse to panw ki zamin le ke haT gae
adhuri zindagi ko ab liye phiren kahan kahan
kitab-e-dil se us ke nam ke warq to phaT gae
wo aankh bhar ke apne dagh dekhta na dekhta
ye aainon ko kya hua ki samne se haT gae
nai sadi salam karne aa rahi thi 'jafari'
charagh phenk kar hamin guphaon mein palaT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.