KHayal-o-KHwab bhi wo hirz-e-raegan bhi wo
ḳhayāl-o-ḳhvāb bhī vo hirz-e-rā.egāñ bhī vo
sarīr-e-ḳhāma-e-añgusht-e-ḳhūñ-chakāñ bhī vo
jo kuchh kahūñ to sarishk-e-sar-e-mizhah bhī vahī
maiñ chup rahūñ to mire dard kī zabāñ bhī vo
na rāste haiñ na manzil hai aur na zād-e-safar
hai sang-e-mīl bhī vo gard-e-kārvāñ bhī vo
mirā qiyām mujhe zindagī se kaaT na le
ki ab yaqīn bhī merā vahī gumāñ bhī vo
vahī hai tīrgī-e-dasht-e-dil ba-jāñ lekin
sitāra-e-shab-e-hijrāñ kī kahkashāñ bhī vo
'matīn' us ke liye dām-e-āgahī na bichhā
vo terī jaan bhī hai jaan kā ziyāñ bhī vo
KHayal-o-KHwab bhi wo hirz-e-raegan bhi wo
sarir-e-KHama-e-angusht-e-KHun-chakan bhi wo
jo kuchh kahun to sarishk-e-sar-e-mizhah bhi wahi
main chup rahun to mere dard ki zaban bhi wo
na raste hain na manzil hai aur na zad-e-safar
hai sang-e-mil bhi wo gard-e-karwan bhi wo
mera qiyam mujhe zindagi se kaT na le
ki ab yaqin bhi mera wahi guman bhi wo
wahi hai tirgi-e-dasht-e-dil ba-jaan lekin
sitara-e-shab-e-hijran ki kahkashan bhi wo
'matin' us ke liye dam-e-agahi na bichha
wo teri jaan bhi hai jaan ka ziyan bhi wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.