KHayal-o-KHwab ke pechida intishaar se dur
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke pechīda intishār se duur
paḌī hai niiñd bhī āñkhoñ ke regzār se duur
jo ḳhāka khīñch liyā hai to kar mukammal bhī
bhaTak rahā huuñ maiñ apne hī shāhkār se duur
bichhaḌ ke tujh se milā hī nahīñ kisī se dil
khaḌī to aur bhī duniyā thī e.atibār se duur
hamī to nasloñ kī taḳhrīb ke haiñ zimmedār
ye kyā bigaḌtī agar rahtī laaD pyaar se duur
mirā pata hai ki gumnāmiyoñ meñ DhūñDo mujhe
paḌā huā huuñ maiñ har ek ishtihār se duur
suḳhanvarī kā ye āsāñ safar nahīñ duniyā
khilāne paḌte haiñ gul bhī yahāñ bahār se duur
akele sirf tumhārī nahīñ hai ye fitrat
ye kā.enāt hī rahtī hai dāġh-dār se duur
KHayal-o-KHwab ke pechida intishaar se dur
paDi hai nind bhi aankhon ke regzar se dur
jo KHaka khinch liya hai to kar mukammal bhi
bhaTak raha hun main apne hi shahkar se dur
bichhaD ke tujh se mila hi nahin kisi se dil
khaDi to aur bhi duniya thi eatibar se dur
hami to naslon ki taKHrib ke hain zimmedar
ye kya bigaDti agar rahti laD pyar se dur
mera pata hai ki gumnamiyon mein DhunDo mujhe
paDa hua hun main har ek ishtihaar se dur
suKHanwari ka ye aasan safar nahin duniya
khilane paDte hain gul bhi yahan bahaar se dur
akele sirf tumhaari nahin hai ye fitrat
ye kaenat hi rahti hai dagh-dar se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.