KHayal-o-KHwab ke sanche mein Dhal gae hum bhi
KHayal-o-KHwab ke sanche mein Dhal gae hum bhi
Maulwi Syed Mumtaz Ali
MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke sāñche meñ Dhal ga.e ham bhī
ḳhushā-fareb-e-tamannā bahal ga.e ham bhī
hamīñ the pyaar kā sadqa utārne vaale
ki hañs ke jaañ kā labāda badal ga.e ham bhī
sahar nasīb kahāñ sham.a ho ki parvāne
shab-e-firāq tire saath jal ga.e ham bhī
vo kyoñ hoñ tark-e-ta.alluq pe morid-e-ilzām
zamāna dekh rahā hai badal ga.e ham bhī
lahak uThā lab-e-la.alīñ kī baat se ehsās
vo mehrbāñ the ziyāda machal ga.e ham bhī
umaD paḌī thī udāsī nazar thī be-qābū
tumhārā naam jo aaya sañbhal ga.e ham bhī
na zikr-e-ku-e-malāmat karo ki dīvāno
ḳhirad kī raah se aage nikal ga.e ham bhī
vahī nazar vahī garmī vahī adā 'sarmad'
us aa.ine ke muqābil pighal ga.e ham bhī
KHayal-o-KHwab ke sanche mein Dhal gae hum bhi
KHusha-fareb-e-tamanna bahal gae hum bhi
hamin the pyar ka sadqa utarne wale
ki hans ke jaan ka labaada badal gae hum bhi
sahar nasib kahan shama ho ki parwane
shab-e-firaq tere sath jal gae hum bhi
wo kyon hon tark-e-talluq pe morid-e-ilzam
zamana dekh raha hai badal gae hum bhi
lahak uTha lab-e-lalin ki baat se ehsas
wo mehrban the ziyaada machal gae hum bhi
umaD paDi thi udasi nazar thi be-qabu
tumhaara nam jo aaya sanbhal gae hum bhi
na zikr-e-ku-e-malamat karo ki diwano
KHirad ki rah se aage nikal gae hum bhi
wahi nazar wahi garmi wahi ada 'sarmad'
us aaine ke muqabil pighal gae hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.