KHayal-o-KHwab ki duniya badal gaya koi
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā badal gayā koī
hisār-e-zāt se bāhar nikal gayā koī
hadīs-e-dil kā bhī unvāñ badal gayā koī
hamāre sāġhar-e-hastī meñ Dhal gayā koī
bujhā na paa.ī use āñsuoñ kī bārish bhī
hasad kī aag meñ kuchh itnā jal gayā koī
ḳhizāñ-badosh bahāreñ bhī muskurāne lagīñ
kisī kī yaad meñ aise machal gayā koī
adā-e-ḳhās se kahne lagā vo jām-ba-kaf
ki girte girte yahāñ phir sañbhal gayā koī
batā rahī haiñ ye 'qaisar' dhueñ kī tahrīreñ
parā.ī aag meñ kyoñ phir se jal gayā koī
KHayal-o-KHwab ki duniya badal gaya koi
hisar-e-zat se bahar nikal gaya koi
hadis-e-dil ka bhi unwan badal gaya koi
hamare saghar-e-hasti mein Dhal gaya koi
bujha na pai use aansuon ki barish bhi
hasad ki aag mein kuchh itna jal gaya koi
KHizan-badosh bahaaren bhi muskurane lagin
kisi ki yaad mein aise machal gaya koi
ada-e-KHas se kahne laga wo jam-ba-kaf
ki girte girte yahan phir sanbhal gaya koi
bata rahi hain ye 'qaisar' dhuen ki tahriren
parai aag mein kyon phir se jal gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.