KHayal-o-KHwab ki duniya se hum guzar bhi gae
Interesting Fact
(Neend poori na huii) Pg. 62
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā se ham guzar bhī ga.e
jahāñ Thaharnā thā ham ko vahāñ Thahar bhī ga.e
hamāre saath rahe zindagī ke hañgāme
jahāñ jahāñ se bhī guzre jidhar jidhar bhī ga.e
tire ḳhayāl kā dariyā utar na paayā magar
tire ḳhayāl ke dariyā meñ ham utar bhī ga.e
zamāna laakh hamārī muḳhālifat meñ rahā
jo kaam karnā thā ham ko vo kaam kar bhī ga.e
mohabbatoñ meñ bhī lāzim hai e'tidāl kā rañg
ḳhulūs had se baḌhā jab to log Dar bhī ga.e
tumhārā naam isī vāste to zinda hai
tumhāre naam pe marnā thā jin ko mar bhī ga.e
ġham-e-ziyāñ ke sivā kuchh nahīñ hai manzil par
safar kā lutf gayā aur ham-safar bhī ga.e
ham aise log munavvar kahāñ se ā.eñge
jo pastiyoñ meñ rahe aur farāz par bhī ga.e
KHayal-o-KHwab ki duniya se hum guzar bhi gae
jahan Thaharna tha hum ko wahan Thahar bhi gae
hamare sath rahe zindagi ke hangame
jahan jahan se bhi guzre jidhar jidhar bhi gae
tere KHayal ka dariya utar na paya magar
tere KHayal ke dariya mein hum utar bhi gae
zamana lakh hamari muKHalifat mein raha
jo kaam karna tha hum ko wo kaam kar bhi gae
mohabbaton mein bhi lazim hai e'tidal ka rang
KHulus had se baDha jab to log Dar bhi gae
tumhaara nam isi waste to zinda hai
tumhaare nam pe marna tha jin ko mar bhi gae
gham-e-ziyan ke siwa kuchh nahin hai manzil par
safar ka lutf gaya aur ham-safar bhi gae
hum aise log munawwar kahan se aaenge
jo pastiyon mein rahe aur faraaz par bhi gae
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 60)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.