KHayal-o-KHwab pe is tarah chha gaya hai koi
ḳhayāl-o-ḳhvāb pe is tarah chhā gayā hai koī
mire vajūd se mujh ko churā gayā hai koī
udāsī chhā.ī hai bazm-e-suḳhan meñ ye kaisī
ġhazal sunāte sunāte rulā gayā hai koī
nigah meñ koī bhī shai us ke bin nahīñ jachtī
kuchh is adā se nigāheñ milā gayā hai koī
kināre lā ke Duboyā hai merī kashtī ko
ḳhud-e'timādī se jiinā sikhā gayā hai koī
jigar meñ zaḳhm 'shafīq' aañkh meñ namī de kar
mire ḳhulūs kī qīmat chukā gayā hai koī
KHayal-o-KHwab pe is tarah chha gaya hai koi
mere wajud se mujh ko chura gaya hai koi
udasi chhai hai bazm-e-suKHan mein ye kaisi
ghazal sunate sunate rula gaya hai koi
nigah mein koi bhi shai us ke bin nahin jachti
kuchh is ada se nigahen mila gaya hai koi
kinare la ke Duboya hai meri kashti ko
KHud-e'timadi se jina sikha gaya hai koi
jigar mein zaKHm 'shafiq' aankh mein nami de kar
mere KHulus ki qimat chuka gaya hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.