KHayal rakhna mera zaKHm bhar na jae kahin
ḳhayāl rakhnā mirā zaḳhm bhar na jaa.e kahīñ
havādisāt kā dariyā utar na jaa.e kahīñ
usī se zinda hai ehsās āshiyāne kā
ye raakh tez havā hai bikhar na jaa.e kahīñ
bhaTaktī phirtī hai āvāra dar-ba-dar kab se
shab-e-firāq hamāre hī ghar na jaa.e kahīñ
jo chal rahā hai bagūloñ kī rahnumā.ī meñ
vo kārvān-e-mohabbat Thahar na jaa.e kahīñ
vo zulm kiije ki hasrat na rah sake baaqī
sahar se pahle hī 'ġhamgīn' mar na jaa.e kahīñ
KHayal rakhna mera zaKHm bhar na jae kahin
hawadisat ka dariya utar na jae kahin
usi se zinda hai ehsas aashiyane ka
ye rakh tez hawa hai bikhar na jae kahin
bhaTakti phirti hai aawara dar-ba-dar kab se
shab-e-firaq hamare hi ghar na jae kahin
jo chal raha hai bagulon ki rahnumai mein
wo karwan-e-mohabbat Thahar na jae kahin
wo zulm kije ki hasrat na rah sake baqi
sahar se pahle hi 'ghamgin' mar na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.