KHayal se to ibtida hui hai kaenat ki
ḳhayāl se to ibtidā huī hai kā.enāt kī
amal kī dastaras meñ haiñ hadeñ taḳhaiyyulāt kī
faqat amal kī ek baat kar hazār baat kī
ruḳh-e-hayāt se uThā ridā tavaqquāt kī
yahī to ik dalīl hai marīz-e-nafsiyāt kī
adū ye zimmedāriyāñ haiñ apnī vājibāt kī
sazā hai kis gunāh kī ki aise pāsbāñ mile
jo dushmanoñ se māñgte haiñ bhiik iltifāt kī
hazār rāste haiñ yuuñ to gumrahī ke vāste
magar sirāt-e-mustaqīm ek hai najāt kī
KHayal se to ibtida hui hai kaenat ki
amal ki dastaras mein hain haden taKHaiyyulat ki
faqat amal ki ek baat kar hazar baat ki
ruKH-e-hayat se uTha rida tawaqquat ki
yahi to ek dalil hai mariz-e-nafsiyat ki
adu ye zimmedariyan hain apni wajibaat ki
saza hai kis gunah ki ki aise pasban mile
jo dushmanon se mangte hain bhik iltifat ki
hazar raste hain yun to gumrahi ke waste
magar siraat-e-mustaqim ek hai najat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.