KHayal us ka sabhi mausamon mein rahta hai
ḳhayāl us kā sabhī mausamoñ meñ rahtā hai
vo merī soch ke sab zāviyoñ meñ rahtā hai
na pesh aao kabhī us se be-ruḳhī ke saath
kisī ke hijr ke jo dā.eroñ meñ rahtā hai
tire firāq meñ dil ko sukūñ nahīñ miltā
ye ek bojh mirī dhaḌkanoñ meñ rahtā hai
use bhī apnī vafāoñ kī laaj rakhnī hai
mirā bhī ishq ka.ī marhaloñ meñ rahtā hai
na-jāne huuk sī uThtī hai kyā mire dil se
ki merā sāthī baḌī mushkiloñ meñ rahtā hai
KHayal us ka sabhi mausamon mein rahta hai
wo meri soch ke sab zawiyon mein rahta hai
na pesh aao kabhi us se be-ruKHi ke sath
kisi ke hijr ke jo daeron mein rahta hai
tere firaq mein dil ko sukun nahin milta
ye ek bojh meri dhaDkanon mein rahta hai
use bhi apni wafaon ki laj rakhni hai
mera bhi ishq kai marhalon mein rahta hai
na-jaane huk si uThti hai kya mere dil se
ki mera sathi baDi mushkilon mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.