KHayalon mein kisi ke kho gae kya
ḳhayāloñ meñ kisī ke kho ga.e kyā
divāne aap bhī ab ho ga.e kyā
sunī hai sub.h ke aane kī aahaT
sitāre raat ke dekho ga.e kyā
to kyā vo aa.e the pursish ko merī
vo gaal ashkoñ se apne dho ga.e kyā
sharārat hai ki nādānī tumhārī
jagā kar pūchhte ho so ga.e kyā
na.ī nasleñ haiñ kyoñ phūloñ se mahrūm
purāne log kāñTe bo ga.e kyā
nazar aate nahīñ mahfil meñ 'anjum'
vo uTh kar bazm se bolo ga.e kyā
KHayalon mein kisi ke kho gae kya
diwane aap bhi ab ho gae kya
suni hai subh ke aane ki aahaT
sitare raat ke dekho gae kya
to kya wo aae the pursish ko meri
wo gal ashkon se apne dho gae kya
shararat hai ki nadani tumhaari
jaga kar puchhte ho so gae kya
nai naslen hain kyon phulon se mahrum
purane log kanTe bo gae kya
nazar aate nahin mahfil mein 'anjum'
wo uTh kar bazm se bolo gae kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.