KHayalon mein rakh dil ke andar chhupa
ḳhayāloñ meñ rakh dil ke andar chhupā
dabī hasratoñ kā bavanDar chhupā
jo kahnā hai kah de mire rū-barū
koī baat dil meñ na dilbar chhupā
kisī Dar ke aage kabhī haar kar
mohabbat na kar ke ujāgar chhupā
dikhāve kī mukh par hañsī hai magar
tū apne ġhamoñ kā samandar chhupā
bharose kā kuchh to sila de mujhe
pata manziloñ kā na rahbar chhupā
milā hai jo us meñ basar kar bashar
shikāyat na kar apne tevar chhupā
KHayalon mein rakh dil ke andar chhupa
dabi hasraton ka bawanDar chhupa
jo kahna hai kah de mere ru-baru
koi baat dil mein na dilbar chhupa
kisi Dar ke aage kabhi haar kar
mohabbat na kar ke ujagar chhupa
dikhawe ki mukh par hansi hai magar
tu apne ghamon ka samandar chhupa
bharose ka kuchh to sila de mujhe
pata manzilon ka na rahbar chhupa
mila hai jo us mein basar kar bashar
shikayat na kar apne tewar chhupa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.