KHazana kaun sa us par hoga
ḳhazānā kaun sā us paar hogā
vahāñ bhī ret kā ambār hogā
ye saare shahr meñ dahshat sī kyuuñ hai
yaqīnan kal koī tyauhār hogā
badal jā.egī us bachche kī duniyā
jab us ke sāmne aḳhbār hogā
use nākāmiyāñ ḳhud DhūñD leñgī
yahāñ jo sāhab-e-kirdār hogā
samajh jaate haiñ dariyā ke musāfir
jahāñ maiñ huuñ vahāñ mañjdhār hogā
zamāne ko badalne kā irāda
kahā to thā tujhe bekār hogā
KHazana kaun sa us par hoga
wahan bhi ret ka ambar hoga
ye sare shahr mein dahshat si kyun hai
yaqinan kal koi tyauhaar hoga
badal jaegi us bachche ki duniya
jab us ke samne aKHbar hoga
use nakaamiyan KHud DhunD lengi
yahan jo sahab-e-kirdar hoga
samajh jate hain dariya ke musafir
jahan main hun wahan manjdhaar hoga
zamane ko badalne ka irada
kaha to tha tujhe bekar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.