Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHazane bhi milen is ke ewaz to hum na bechenge

Owais Ahmad Dauran

KHazane bhi milen is ke ewaz to hum na bechenge

Owais Ahmad Dauran

MORE BYOwais Ahmad Dauran

    ḳhazāne bhī mileñ is ke evaz to ham na becheñge

    hamārā ġham hai mazlūmoñ ġham ye ġham na becheñge

    kuhistānoñ se patthar kaaT kar lā.eñge ham lekin

    kisī zālim ke hāthoñ zaḳhm marham na becheñge

    balā se dhuul phāñkeñ purāne chīthḌe pahneñ

    magar yaaro matā-e-ilm-o-dānish ham na becheñge

    kisī darbār meñ kar adab aur fan sūrat meñ

    tumhārī ambarīñ zulfoñ ke pech-o-ḳham na becheñge

    hamārā inqalāb aa.egā jab to kaam aa.egā

    abhī apnī tamannā ujālā ham na becheñge

    gulistāñ bech kar khānā havas-kāroñ sheva hai

    chaman vaalo papīhoñ tarannum ham na becheñge

    bharī mahfil meñ 'daurāñ' aaj ham phir ahd karte haiñ

    jo hai insāniyat aas vo parcham na becheñge

    KHazane bhi milen is ke ewaz to hum na bechenge

    hamara gham hai mazlumon ka gham ye gham na bechenge

    kuhistanon se patthar kaT kar laenge hum lekin

    kisi zalim ke hathon zaKHm ka marham na bechenge

    bala se dhul phanken ya purane chithDe pahnen

    magar yaro mata-e-ilm-o-danish hum na bechenge

    kisi darbar mein ja kar adab aur fan ki surat mein

    tumhaari ambarin zulfon ke pech-o-KHam na bechenge

    hamara inqalab aaega jab to kaam aaega

    abhi apni tamanna ka ujala hum na bechenge

    gulistan bech kar khana hawas-karon ka shewa hai

    chaman walo papihon ka tarannum hum na bechenge

    bhari mahfil mein 'dauran' aaj hum phir ahd karte hain

    jo hai insaniyat ki aas wo parcham na bechenge

    Source :
    • Book : Ababeel (Pg. 72)
    • Author : Owais Ahmad Dauran
    • Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1986)
    • Edition : 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now