khel dekha na kabhi khel dikhaya humne
khel dekhā na kabhī khel dikhāyā ham ne
ḳhud ko hone na diyā juzv-e-tamāsha ham ne
darmiyāñ harf bhī aa.e ye gavārā na kiyā
lab pe aane na diyā harf-e-tamannā ham ne
is havāle se bhī ehsān hai un āñkhoñ kā
varna kuuze meñ na dekhā kabhī dariyā ham ne
jhurriyāñ chehre kī mānind zabāñ bol uThīñ
karb tā-'umr 'abas apnā chhupāyā ham ne
phir se kartī hai zamīñ apne safar kā āġhāz
jab bhī fitrat ke taqāzoñ ko na samjhā ham ne
shahr kā shahr baġhāvat pe utar aayā hai
qufl hoñToñ pe na be-vaj.h lagāyā ham ne
'aks āñkhoñ meñ liye shaam kī vīrānī kā
ik diyā naam se us ke bhī jalāyā ham ne
ahl-e-mansab ke qasīde meñ zabāñ kyoñ paḌtī
dil meñ paalī hī nahīñ ḳhvāhish-e-duniyā ham ne
ab 'nazīr' is meñ ho halchal koī ummīd nahīñ
balda-e-jāñ meñ bahut shor machāyā ham ne
khel dekha na kabhi khel dikhaya hum ne
KHud ko hone na diya juzw-e-tamasha hum ne
darmiyan harf bhi aae ye gawara na kiya
lab pe aane na diya harf-e-tamanna hum ne
is hawale se bhi ehsan hai un aankhon ka
warna kuze mein na dekha kabhi dariya hum ne
jhurriyan chehre ki manind zaban bol uThin
karb ta-'umr 'abas apna chhupaya hum ne
phir se karti hai zamin apne safar ka aaghaz
jab bhi fitrat ke taqazon ko na samjha hum ne
shahr ka shahr baghawat pe utar aaya hai
qufl honTon pe na be-wajh lagaya hum ne
'aks aankhon mein liye sham ki virani ka
ek diya nam se us ke bhi jalaya hum ne
ahl-e-mansab ke qaside mein zaban kyon paDti
dil mein pali hi nahin KHwahish-e-duniya hum ne
ab 'nazir' is mein ho halchal koi ummid nahin
balda-e-jaan mein bahut shor machaya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.