khel guDiyon ka nahin dil pe hukumat karna
khel guḌiyoñ kā nahīñ dil pe hukūmat karnā
be-sukūñ rah ke zamāne se baġhāvat karnā
terī duniyā kā bahut naam sunā thā lekin
jang laḌnā hai yahāñ apnī hifāzat karnā
maiñ ne ashkoñ ko diyā jab se ġhazal kā paikar
dil meñ aatā hī nahīñ rab se shikāyat karnā
jā ke pahle tū qadam chuum le apnī maañ ke
baa'd us ke tū azaañ aur 'ibādat karnā
us se ġhāfil hī raho to hī 'nazar' behtar hai
us kī duniyā ko samajhnā hai himāqat karnā
khel guDiyon ka nahin dil pe hukumat karna
be-sukun rah ke zamane se baghawat karna
teri duniya ka bahut nam suna tha lekin
jang laDna hai yahan apni hifazat karna
main ne ashkon ko diya jab se ghazal ka paikar
dil mein aata hi nahin rab se shikayat karna
ja ke pahle tu qadam chum le apni man ke
ba'd us ke tu azan aur 'ibaadat karna
us se ghafil hi raho to hi 'nazar' behtar hai
us ki duniya ko samajhna hai himaqat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.