khel ise tumne meri jaan samajh rakkha hai
khel ise tum ne mirī jaan samajh rakkhā hai
ishq ko maiñ ne to īmān samajh rahā hai
mujh meñ ḳhushbū hai nazākat bhī hai lekin us ne
kāġhazī phūloñ kā guldān samajh rakkhā hai
ḳhūn-e-dil shā.erī kartī hai talab shā.ir se
tum ne is kaam ko āsān samajh rakkhā hai
ham to insān ko insān samajhte haiñ janāb
aap ne hindū musalmān samajh rakkhā hai
ham ko ma.alūm hai dariyā ke talātum kā sabab
kis liye uThte haiñ tūfān samajh rakkhā hai
dāstāñ kā ise hāsil maiñ samajhtā huuñ 'riyāz'
tum ne unvān ko unvān samajh rakkhā hai
khel ise tum ne meri jaan samajh rakkha hai
ishq ko main ne to iman samajh raha hai
mujh mein KHushbu hai nazakat bhi hai lekin us ne
kaghazi phulon ka guldan samajh rakkha hai
KHun-e-dil shaeri karti hai talab shair se
tum ne is kaam ko aasan samajh rakkha hai
hum to insan ko insan samajhte hain janab
aap ne hindu musalman samajh rakkha hai
hum ko malum hai dariya ke talatum ka sabab
kis liye uThte hain tufan samajh rakkha hai
dastan ka ise hasil main samajhta hun 'riyaz'
tum ne unwan ko unwan samajh rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.