khel jab hone lage taqdir ka
khel jab hone lage taqdīr kā
zor chaltā hī nahīñ tadbīr kā
jab nishānā ho nigāh-e-tīr kā
kaam kyā hai phir bhalā shamshīr kā
ek pahlū hai dil-e-be-pīr kā
ek pahlū hai tirī tasvīr kā
ḳhuun ke pyāse gale mil kar ga.e
chal gayā sikka mirī taqrīr kā
dil samajhtā hai nigāhoñ kī zabāñ
kyā karūñ maiñ aap kī tahrīr kā
zulm sadiyoñ se pareshāñ hai magar
silsila TuuTā na rāñjhā hiir kā
khel jab hone lage taqdir ka
zor chalta hi nahin tadbir ka
jab nishana ho nigah-e-tir ka
kaam kya hai phir bhala shamshir ka
ek pahlu hai dil-e-be-pir ka
ek pahlu hai teri taswir ka
KHun ke pyase gale mil kar gae
chal gaya sikka meri taqrir ka
dil samajhta hai nigahon ki zaban
kya karun main aap ki tahrir ka
zulm sadiyon se pareshan hai magar
silsila TuTa na ranjha hir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.