khel kar silsila-e-gardish-e-ayyam ke sath
khel kar silsila-e-gardish-e-ayyām ke saath
zindagī ham ne guzārī baḌe ārām ke saath
sun rahā huuñ dil-e-barbād ke afsāne meñ
aap kā naam bhī aaya hai mire naam ke saath
shukr-sad-shukr ki muddat pe tujhe shikva-tarāz
yaad to aaya koī saikḌoñ ilzām ke saath
kam-nigāhī se tirī bazm-e-tarab meñ saaqī
dekh āñkheñ na chhalak jaa.eñ kahīñ jaam ke saath
terī yādoñ meñ guzarte hue lamhoñ kī thakan
lutf-e-āġhāz bhī laa.ī ġham-e-anjām ke saath
baḌhtā jaatā hai ujāloñ pe añdheroñ kā asar
sub.h badnām na ho jaa.e kahīñ shaam ke saath
is zamāne meñ gale milte hue dekhā hai
ravish-e-ḳhās ko ham ne ravish-e-ām ke saath
ham bhī khele haiñ lab-e-shāhid-e-mai se 'ahmar'
jur.a-kash ham bhī rahe haiñ kabhī 'ḳhayyām' ke saath
khel kar silsila-e-gardish-e-ayyam ke sath
zindagi hum ne guzari baDe aaram ke sath
sun raha hun dil-e-barbaad ke afsane mein
aap ka nam bhi aaya hai mere nam ke sath
shukr-sad-shukr ki muddat pe tujhe shikwa-taraaz
yaad to aaya koi saikDon ilzam ke sath
kam-nigahi se teri bazm-e-tarab mein saqi
dekh aankhen na chhalak jaen kahin jam ke sath
teri yaadon mein guzarte hue lamhon ki thakan
lutf-e-aghaz bhi lai gham-e-anjam ke sath
baDhta jata hai ujalon pe andheron ka asar
subh badnam na ho jae kahin sham ke sath
is zamane mein gale milte hue dekha hai
rawish-e-KHas ko hum ne rawish-e-am ke sath
hum bhi khele hain lab-e-shahid-e-mai se 'ahmar'
jura-kash hum bhi rahe hain kabhi 'KHayyam' ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.