Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khel mein kuchh to gaDbaD thi jo aadhe ho kar haare log

Hamida Shaheen

khel mein kuchh to gaDbaD thi jo aadhe ho kar haare log

Hamida Shaheen

MORE BYHamida Shaheen

    khel meñ kuchh to gaḌbaḌ thī jo aadhe ho kar haare log

    aadhe log nirī miTTī the aadhe chāñd sitāre log

    is tartīb meñ koī jaanī būjhī be-tartībī thī

    aadhe ek kināre par the aadhe ek kināre log

    us ke nazm-o-zabt se bāhar honā kaise mumkin thā

    aadhe us ne saath milā.e aadhe us ne maare log

    aaj hamārī haar samajh meñ aane vaalī baat nahīñ

    us ke puure lashkar meñ the aadhe aaj hamāre log

    kis ke saath hamārī yak-jānī manzar ban paatā

    aadhe jaan ke dushman the aur aadhe jaan se pyāre log

    in par ḳhvāb havā aur paanī tabdīlī lāzim hai

    aadhe phīke be-ras ho ga.e aadhe zahr tumhāre log

    aadhī raat huī to ġham ne chupke se dar khol diye

    ādhoñ ne to aañkh na kholī aadhe aaj guzāre log

    ādhoñ aadh kaTī yakjā.ī phir dūjoñ ne bīchoñ-bīch

    aadhe paañv ke nīche rakkhe aadhe sar se vaare log

    aisā band-o-bast hamāre haq meñ kaisā rahnā thā

    halke halke chun kar us ne aadhe paar utāre log

    kuchh logoñ par shīshe ke us jānib honā vājib thā

    dhaar pe chalte chalte ho ga.e aadhe aadhe saare log

    khel mein kuchh to gaDbaD thi jo aadhe ho kar haare log

    aadhe log niri miTTi the aadhe chand sitare log

    is tartib mein koi jaani bujhi be-tartibi thi

    aadhe ek kinare par the aadhe ek kinare log

    us ke nazm-o-zabt se bahar hona kaise mumkin tha

    aadhe us ne sath milae aadhe us ne mare log

    aaj hamari haar samajh mein aane wali baat nahin

    us ke pure lashkar mein the aadhe aaj hamare log

    kis ke sath hamari yak-jaani ka manzar ban pata

    aadhe jaan ke dushman the aur aadhe jaan se pyare log

    in par KHwab hawa aur pani ki tabdili lazim hai

    aadhe phike be-ras ho gae aadhe zahr tumhaare log

    aadhi raat hui to gham ne chupke se dar khol diye

    aadhon ne to aankh na kholi aadhe aaj guzare log

    aadhon aadh kaTi yakjai phir dujon ne bichon-bich

    aadhe panw ke niche rakkhe aadhe sar se ware log

    aisa band-o-bast hamare haq mein kaisa rahna tha

    halke halke chun kar us ne aadhe par utare log

    kuchh logon par shishe ke us jaanib hona wajib tha

    dhaar pe chalte chalte ho gae aadhe aadhe sare log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now