khel tha apni ana ka ishq use samjha kiya
khel thā apnī anā kā ishq use samjhā kiyā
maiñ ne apne aap se kitnā baḌā dhokā kiyā
umr-bhar kā ham-nafas ik pal meñ ruḳhsat ho gayā
aur maiñ ḳhāmosh use jaate hue dekhā kiyā
ik zarā sī baat par rūThā rahā vo der tak
muskurā ke ḳhud hī phir merī taraf chehrā kiyā
fikr kī lazzat ke baa.is haiñ mirī nākāmiyāñ
sab amal karte rahe aur maiñ faqat sochā kiyā
zaḳhm kī ik aag thī jis se suḳhan raushan rakhā
dard kī ik lahar thī maiñ ne jise naġhma kiyā
sab hī kuchh us se na kahnā thā jo tere dil meñ thā
shiddat-e-iz.hār meñ tū ne 'farāsat' kyā kiyā
khel tha apni ana ka ishq use samjha kiya
main ne apne aap se kitna baDa dhoka kiya
umr-bhar ka ham-nafas ek pal mein ruKHsat ho gaya
aur main KHamosh use jate hue dekha kiya
ek zara si baat par ruTha raha wo der tak
muskura ke KHud hi phir meri taraf chehra kiya
fikr ki lazzat ke bais hain meri nakaamiyan
sab amal karte rahe aur main faqat socha kiya
zaKHm ki ek aag thi jis se suKHan raushan rakha
dard ki ek lahar thi main ne jise naghma kiya
sab hi kuchh us se na kahna tha jo tere dil mein tha
shiddat-e-izhaar mein tu ne 'farasat' kya kiya
- Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 200)
- Author : Firasat Rizvi
- Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.