khel usne dikha ke jadu ke
khel us ne dikhā ke jaadū ke
merī sochoñ ke qāfile luuTe
yā to dhaḌkan hī band ho jaa.e
yā ye ḳhāmoshī-e-fazā TuuTe
tum jahāñ bhī ho mere dil meñ ho
tum mire paas the to har-sū the
naġhma-e-gul kī baas aatī hai
taar kis ne hilā.e ḳhushbū ke
us ko laa.eñ to ek baat bhī hai
varna sab dost āshnā jhūTe
naḳhl-e-ummīd sabz hai 'amjad'
laakh jhakkaḌ chalā kiye lū ke
khel us ne dikha ke jadu ke
meri sochon ke qafile luTe
ya to dhaDkan hi band ho jae
ya ye KHamoshi-e-faza TuTe
tum jahan bhi ho mere dil mein ho
tum mere pas the to har-su the
naghma-e-gul ki bas aati hai
tar kis ne hilae KHushbu ke
us ko laen to ek baat bhi hai
warna sab dost aashna jhuTe
naKHl-e-ummid sabz hai 'amjad'
lakh jhakkaD chala kiye lu ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.