khelna dil ko paDa har lamha mauj-e-ab se
khelnā dil ko paḌā har lamha mauj-e-āb se
maiñ kahāñ niklā kabhī huuñ hītā-e-girdāb se
hai faroġh-e-tīrgī se sab ke chehre par itaab
dast-basta māñgte haiñ nuur sab mahtāb se
dard kyā uTThā ki naġhma ban gayā ehsās bhī
yūñhī koī chheḌ de baaje ko joñ mizrāb se
daulat-e-ḳhvāb-e-pareshāñ bhī nashāt-añgez hai
khil uThā hai chehra-e-ġham dekh mere ḳhvāb se
sozish-e-qalb-o-nazar ke vāste kuchh to karo
kuchh to ThanDak le ke aao gulshan-e-shādāb se
aap ko shāyad ye andāza na ho mujh ko to hai
kis qadar rāhat milī hai halqa-e-ahbāb se
khelna dil ko paDa har lamha mauj-e-ab se
main kahan nikla kabhi hun hita-e-girdab se
hai farogh-e-tirgi se sab ke chehre par itab
dast-basta mangte hain nur sab mahtab se
dard kya uTTha ki naghma ban gaya ehsas bhi
yunhi koi chheD de baje ko jon mizrab se
daulat-e-KHwab-e-pareshan bhi nashat-angez hai
khil uTha hai chehra-e-gham dekh mere KHwab se
sozish-e-qalb-o-nazar ke waste kuchh to karo
kuchh to ThanDak le ke aao gulshan-e-shadab se
aap ko shayad ye andaza na ho mujh ko to hai
kis qadar rahat mili hai halqa-e-ahbab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.