KHema-e-KHwab ukhaDta jata hai
ḳhema-e-ḳhvāb ukhaḌtā jaatā hai
kaun āñdhī kī tarah aatā hai
'mīr' sāhab se pūchhiye jā kar
'ishq bin kyā adab bhī aatā hai
hosh kab hai anā ke nashshe meñ
saañp siine meñ sarsarātā hai
maiñ use gungunā.e jaatā huuñ
vo mujhe bhuul bhuul jaatā hai
naġhmagī meñ bhī bain shāmil hai
vaqt kaisī ġhazal sunātā hai
tujh se milne kā shauq jān-e-murād
ḳhvāb-zāroñ meñ khīñch laatā hai
KHema-e-KHwab ukhaDta jata hai
kaun aandhi ki tarah aata hai
'mir' sahab se puchhiye ja kar
'ishq bin kya adab bhi aata hai
hosh kab hai ana ke nashshe mein
sanp sine mein sarsaraata hai
main use gungunae jata hun
wo mujhe bhul bhul jata hai
naghmagi mein bhi bain shamil hai
waqt kaisi ghazal sunata hai
tujh se milne ka shauq jaan-e-murad
KHwab-zaron mein khinch lata hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 79)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.