KHema-e-sabr ke logon ko saza di gai hai
ḳhema-e-sabr ke logoñ ko sazā dī ga.ī hai
umr-e-ummīd-e-sahar aur baḌhā dī ga.ī hai
shab-e-dījūr meñ karne ko nahīñ thā kuchh so
aag se chāñd ki tasvīr banā dī ga.ī hai
peḌ ġhamnāk khaḌe haiñ ye sabhī se sun kar
sūkhe pattoñ ko kahīñ aag lagā dī ga.ī hai
shor-e-girya hai bapā nam bhī nahīñ haiñ āñkheñ
vo jo rone kī suhūlat thī haTā dī ga.ī hai
raqs-e-ḳhāmoshī huā to hai yahāñ par khul kar
jo bhī āvāz uThī thī vo dabā dī ga.ī hai
terī duniyā meñ bhī ḳhushiyoñ kī ho bārish har dam
pyāsī āñkhoñ se kisī ko ye duā dī ga.ī hai
KHema-e-sabr ke logon ko saza di gai hai
umr-e-ummid-e-sahar aur baDha di gai hai
shab-e-dijur mein karne ko nahin tha kuchh so
aag se chand ki taswir bana di gai hai
peD ghamnak khaDe hain ye sabhi se sun kar
sukhe patton ko kahin aag laga di gai hai
shor-e-girya hai bapa nam bhi nahin hain aankhen
wo jo rone ki suhulat thi haTa di gai hai
raqs-e-KHamoshi hua to hai yahan par khul kar
jo bhi aawaz uThi thi wo daba di gai hai
teri duniya mein bhi KHushiyon ki ho barish har dam
pyasi aankhon se kisi ko ye dua di gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.