khiDki mein lahraate tanha zard gulabon jaise din
khiḌkī meñ lahrāte tanhā zard gulāboñ jaise din
vo takiyoñ par kāḌhe jaane vaale ḳhvāboñ jaise din
bāhar dastak dete mausam chuġhlī khātī tez havā
mez pe rakkhī niiñd se bojhal khulī kitāboñ jaise din
jaane kis ke dil kī dhaḌkan khudī huī thī peḌoñ par
jaate jaate ThiThak ga.e haiñ yūñhī nisāboñ jaise din
ham ko yaad haiñ uḌte phirte titlī jaise sub.h-o-shām
haath meñ jaltā sūraj thāme vo tālāboñ jaise din
kangūroñ se lipTī beleñ aur beloñ pe hañste phuul
biich khañDar ḳhāmosh khaḌī raushan mehrāboñ jaise din
ghor dhueñ ke phaile bādal ruktā saañs gulāboñ kā
daldal jaisī andhī rāteñ aur sarāboñ jaise din
ik muddat se Thahr ga.e haiñ jaise ham donoñ ke biich
vahī savāloñ jaisī rāteñ vahī javāboñ jaise din
khiDki mein lahraate tanha zard gulabon jaise din
wo takiyon par kaDhe jaane wale KHwabon jaise din
bahar dastak dete mausam chughli khati tez hawa
mez pe rakkhi nind se bojhal khuli kitabon jaise din
jaane kis ke dil ki dhaDkan khudi hui thi peDon par
jate jate ThiThak gae hain yunhi nisabon jaise din
hum ko yaad hain uDte phirte titli jaise subh-o-sham
hath mein jalta suraj thame wo talabon jaise din
kanguron se lipTi belen aur belon pe hanste phul
bich khanDar KHamosh khaDi raushan mehrabon jaise din
ghor dhuen ke phaile baadal rukta sans gulabon ka
daldal jaisi andhi raaten aur sarabon jaise din
ek muddat se Thahr gae hain jaise hum donon ke bich
wahi sawalon jaisi raaten wahi jawabon jaise din
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 64)
- Author :Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.