khiDki se mahtab na dekho
khiḌkī se mahtāb na dekho
aise bhī tum ḳhvāb na dekho
Duub rahe sūraj meñ yaaro
din kī āb-o-tāb na dekho
harjā.ī haiñ log yahāñ ke
is bastī ke ḳhvāb na dekho
andar se ham TuuT rahe haiñ
bāhar ke asbāb na dekho
fan dekho bas mallāhoñ kā
dariyā ke sailāb na dekho
sachche sapne do āñkhoñ ko
jhūTe hoñ vo ḳhvāb na dekho
dīvāna huuñ dīvāna maiñ
tum mere ādāb na dekho
ġham meñ bhī ham ḳhush rahte haiñ
ġham sahne kī taab na dekho
dekho apne aib 'zafar'-jī
kaise haiñ ahbāb na dekho
khiDki se mahtab na dekho
aise bhi tum KHwab na dekho
Dub rahe suraj mein yaro
din ki aab-o-tab na dekho
harjai hain log yahan ke
is basti ke KHwab na dekho
andar se hum TuT rahe hain
bahar ke asbab na dekho
fan dekho bas mallahon ka
dariya ke sailab na dekho
sachche sapne do aankhon ko
jhuTe hon wo KHwab na dekho
diwana hun diwana main
tum mere aadab na dekho
gham mein bhi hum KHush rahte hain
gham sahne ki tab na dekho
dekho apne aib 'zafar'-ji
kaise hain ahbab na dekho
- Book : Nawa-e-harf-e-khamoosh (Pg. 359)
- Author : Zafar Kaleem
- Publication : Zafar Kaleem (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.