khiDkiyan Khaali karen ye baam-o-dar Khaali karen
khiDkiyan Khaali karen ye baam-o-dar Khaali karen
Shahabuddin Saqib
MORE BYShahabuddin Saqib
khiḌkiyāñ ḳhālī kareñ ye bām-o-dar ḳhālī kareñ
in havāoñ se kaho ab merā ghar ḳhālī kareñ
ehtiyātan ye munāsib hai ki is bastī ko log
zalzala aa jaa.e is se peshtar ḳhālī kareñ
phir vo shāḳheñ bhī na hoñgī aisī rut aane ko hai
ab ye lāzim hai parindoñ ko shajar ḳhālī kareñ
phir na ho jaa.e kahīñ pāmāl taqdīs-e-hunar
chāhiye bas jald hī tāq-e-hunar ḳhālī kareñ
rāh-gīroñ se havā.eñ kah rahī haiñ der se
jald jitnā ho sake ye rahguzar ḳhālī kareñ
khiDkiyan KHali karen ye baam-o-dar KHali karen
in hawaon se kaho ab mera ghar KHali karen
ehtiyatan ye munasib hai ki is basti ko log
zalzala aa jae is se peshtar KHali karen
phir wo shaKHen bhi na hongi aisi rut aane ko hai
ab ye lazim hai parindon ko shajar KHali karen
phir na ho jae kahin pamal taqdis-e-hunar
chahiye bas jald hi taq-e-hunar KHali karen
rah-giron se hawaen kah rahi hain der se
jald jitna ho sake ye rahguzar KHali karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.