khiDkiyan khol ke kaisi ye sadaen aain
khiḌkiyāñ khol ke kaisī ye sadā.eñ aa.iiñ
yaad ye kis kī dilāne ko sadā.eñ aa.iiñ
zehn kī dhund ne umroñ ko savālī rakkhā
dhund ke parde se kitnī hī shuā.eñ aa.iiñ
toḌ kar kaun sī zanjīr ye mujrim aa.e
jurm thā kaun sā un kā jo sazā.eñ aa.iiñ
maiñ tujhe bhuul ke duniyā se lipaT jaatā huuñ
aisā karne se na jiine kī adā.eñ aa.iiñ
jab kabhī ḳhvāb jazīroñ pe bulāyā mujh ko
ḳhair-maqdam ko mire nuur fazā.eñ aa.iiñ
naam ik dil meñ dhaḌaktā hai sahīfa ban kar
is sahīfe kī hifāzat ko havā.eñ aa.iiñ
khiDkiyan khol ke kaisi ye sadaen aain
yaad ye kis ki dilane ko sadaen aain
zehn ki dhund ne umron ko sawali rakkha
dhund ke parde se kitni hi shuaen aain
toD kar kaun si zanjir ye mujrim aae
jurm tha kaun sa un ka jo sazaen aain
main tujhe bhul ke duniya se lipaT jata hun
aisa karne se na jine ki adaen aain
jab kabhi KHwab jaziron pe bulaya mujh ko
KHair-maqdam ko mere nur fazaen aain
nam ek dil mein dhaDakta hai sahifa ban kar
is sahife ki hifazat ko hawaen aain
- Book : Mujalla Dastavez
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.