khiDkiyan kholin ki dekhen raunaqen us par ki
khiḌkiyāñ kholīñ ki dekheñ raunaqeñ us paar kī
raushnī aane lagī ghar meñ magar bāzār kī
ik tasalsul hai jo kānoñ se judā hotā nahīñ
gūñjtī rahtī hoñ jaise siskiyāñ bīmār kī
aañkh meñ chubhne lage haiñ tīrgī ke ḳhāl-o-ḳhad
aap ne jangal meñ aa ke raushnī bekār kī
rāt-bhar palkoñ pe merī ik dhuāñ raushan rahā
rāt-bhar taktī rahī mujh ko nazar dīvār kī
titliyoñ meñ rang bhī bharne nahīñ detī hameñ
zehn meñ baiThī huī sūrat kisī bezār kī
khiDkiyan kholin ki dekhen raunaqen us par ki
raushni aane lagi ghar mein magar bazar ki
ek tasalsul hai jo kanon se juda hota nahin
gunjti rahti hon jaise siskiyan bimar ki
aankh mein chubhne lage hain tirgi ke KHal-o-KHad
aap ne jangal mein aa ke raushni bekar ki
raat-bhar palkon pe meri ek dhuan raushan raha
raat-bhar takti rahi mujh ko nazar diwar ki
titliyon mein rang bhi bharne nahin deti hamein
zehn mein baiThi hui surat kisi bezar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.