Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khiDkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo

Zafar Iqbal

khiDkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    khiḌkiyāñ kis tarah haiñ aur dar kaisā hai vo

    sochtā huuñ jis meñ vo rahtā hai ghar kaisā hai vo

    kaisī vo āb-o-havā hai jis meñ vo letā hai saañs

    aatā jaatā hai vo jis par rahguzar kaisā hai vo

    kaun rañgat ke haiñ us ke zamīn-o-āsmāñ

    chhāñv hai jis yahāñ tak bhī shajar kaisā hai vo

    ik nazar meñ nazar aa jā.egā vo sar-ba-sar

    phir bhī us ko dekhnā bār-e-digar kaisā hai vo

    maiñ to us ke ek ik lamhe rakhtā huuñ shumār

    aur mere hāl-e-dil se be-ḳhabar kaisā hai vo

    us honā bahut hai vo kahīñ hai to sahī

    kyā sarokār is se hai mujh ko 'zafar' kaisā hai vo

    khiDkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo

    sochta hun jis mein wo rahta hai ghar kaisa hai wo

    kaisi wo aab-o-hawa hai jis mein wo leta hai sans

    aata jata hai wo jis par rahguzar kaisa hai wo

    kaun si rangat ke hain us ke zamin-o-asman

    chhanw hai jis ki yahan tak bhi shajar kaisa hai wo

    ek nazar mein hi nazar aa jaega wo sar-ba-sar

    phir bhi us ko dekhna bar-e-digar kaisa hai wo

    main to us ke ek ek lamhe ka rakhta hun shumar

    aur mere haal-e-dil se be-KHabar kaisa hai wo

    us ka hona hi bahut hai wo kahin hai to sahi

    kya sarokar is se hai mujh ko 'zafar' kaisa hai wo

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now