khiDkiyon se bhi agar dhup na aai hoti
khiḌkiyoñ se bhī agar dhuup na aa.ī hotī
ham ne din hote hue sham' jalā.ī hotī
apnī āñkhoñ ko agar ham bhī bachā le jaate
saañs lete hue manzar se burā.ī hotī
log mar’ūb bahut haiñ tirī mehrāboñ se
bel hī koī sutūnoñ pe chaḌhā.ī hotī
merī āñkhoñ ke darīchoñ meñ sabhī rang us ke
dil kī dīvār bhī kaash us ne sajā.ī hotī
ham ko manzūr na thī qaid-e-vafādārī-e-shah
varna pairoñ meñ bhī zanjīr-e-tilā.ī hotī
saare tehvār guzar jaate haiñ suune suune
ye 'imārat bhī kabhī tum ne sajā.ī hotī
khiDkiyon se bhi agar dhup na aai hoti
hum ne din hote hue sham' jalai hoti
apni aankhon ko agar hum bhi bacha le jate
sans lete hue manzar se burai hoti
log mar’ub bahut hain teri mehrabon se
bel hi koi sutunon pe chaDhai hoti
meri aankhon ke darichon mein sabhi rang us ke
dil ki diwar bhi kash us ne sajai hoti
hum ko manzur na thi qaid-e-wafadari-e-shah
warna pairon mein bhi zanjir-e-tilai hoti
sare tehwar guzar jate hain sune sune
ye 'imarat bhi kabhi tum ne sajai hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.