KHidmat-e-insan ki kuchh tadbir bhi
ḳhidmat-e-insāñ kī kuchh tadbīr bhī
kaash ho is ḳhvāb kī ta.abīr bhī
be-mahābā har qadam manzil se duur
paañv meñ ho ahd kī zanjīr bhī
azmat-e-rafta kī ḳhvāhish kar zarūr
kar use paane kī kuchh tadbīr bhī
hurmat-e-tauqīr-e-insāñ kar aziiz
chhoḌ de ye nafrat-o-tahqīr bhī
bāñTiye dukh-dard sāthī bhī hoñ ḳhush
ho na.ī duniyā kī phir ta.amīr bhī
usva-e-ḳhairul-bashar apnā.iye
thāmiye iḳhlās kī zanjīr bhī
aise insāñ ko milā bām-o-urūj
jis ne apnī zaat kī tasḳhīr kī
KHidmat-e-insan ki kuchh tadbir bhi
kash ho is KHwab ki tabir bhi
be-mahaba har qadam manzil se dur
panw mein ho ahd ki zanjir bhi
azmat-e-rafta ki KHwahish kar zarur
kar use pane ki kuchh tadbir bhi
hurmat-e-tauqir-e-insan kar aziz
chhoD de ye nafrat-o-tahqir bhi
banTiye dukh-dard sathi bhi hon KHush
ho nai duniya ki phir tamir bhi
uswa-e-KHairul-bashar apnaiye
thamiye iKHlas ki zanjir bhi
aise insan ko mila baam-o-uruj
jis ne apni zat ki tasKHir ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.