khinch laegi koi misra-e-tar aaKHir-e-kar
khīñch lā.egī koī misra-e-tar āḳhir-e-kār
zulf zanjīr se nāzuk hai magar āḳhir-e-kār
har dorāhe pe koī yaar bichhaḌ jaanā hai
kaun adā kartā hai tāvān-e-safar āḳhir-e-kār
kaun ḳhurshīd ko palTā.e ki jangal se idhar
mornī jhaaḌ ga.ī jhiil meñ par āḳhir-e-kār
uḌ ke dīvār-e-shafaq se ye parind-e-mahtāb
jaane kyā jhāñkne aayā mire ghar āḳhir-e-kār
aur jahāñ ḳhatm huā hai man-o-salvā kā nuzūl
kaam aayā hai mirā rizq-e-hunar āḳhir-e-kār
shaam tak ek bhī chehra na rukā mere liye
band hone lagā bāzār-e-nazar āḳhir-e-kār
kuchh siyah-posh charāġhoñ kā bhalā kyā mazkūr
azhdahe khā ga.e mahtāb-nagar āḳhir-e-kār
khinch laegi koi misra-e-tar aaKHir-e-kar
zulf zanjir se nazuk hai magar aaKHir-e-kar
har dorahe pe koi yar bichhaD jaana hai
kaun ada karta hai tawan-e-safar aaKHir-e-kar
kaun KHurshid ko palTae ki jangal se idhar
morni jhaD gai jhil mein par aaKHir-e-kar
uD ke diwar-e-shafaq se ye parind-e-mahtab
jaane kya jhankne aaya mere ghar aaKHir-e-kar
aur jahan KHatm hua hai man-o-salwa ka nuzul
kaam aaya hai mera rizq-e-hunar aaKHir-e-kar
sham tak ek bhi chehra na ruka mere liye
band hone laga bazar-e-nazar aaKHir-e-kar
kuchh siyah-posh charaghon ka bhala kya mazkur
azhdahe kha gae mahtab-nagar aaKHir-e-kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.