khinch lai thi mujhe KHushbu hi tere pairahan ki
khīñch laa.ī thī mujhe ḳhushbū hī tere pairahan kī
par tirī āñkhoñ meñ hai vahshat bhī āhū-e-ḳhutan kī
ishq kī ātish kahāñ bārūd ke sho.ale haiñ raqsāñ
ab kahāñ vo zulf aur vo dāstāñ dār-o-rasan kī
kyā hue vo din ki jab aksar mayassar thī mujhe bhī
din ko zulmat zulf kī aur dhuup shab ko sīm-tan kī
ātish-e-furqat se maiñ shab ko ujālā māñgtā huuñ
ishq meñ hotī nahīñ hai had koī dīvāne-pan kī
raushnī jis kī mirī āñkhoñ ko ḳhīra kar chukī hai
raakh kar ke chhoḌ degī ab harārat is badan kī
dekh ke raste ke manzar sab ke sab the ġharq-e-hairat
yaad aise meñ bhalā aatī kise apne vatan kī
khinch lai thi mujhe KHushbu hi tere pairahan ki
par teri aankhon mein hai wahshat bhi aahu-e-KHutan ki
ishq ki aatish kahan barud ke shoale hain raqsan
ab kahan wo zulf aur wo dastan dar-o-rasan ki
kya hue wo din ki jab aksar mayassar thi mujhe bhi
din ko zulmat zulf ki aur dhup shab ko sim-tan ki
aatish-e-furqat se main shab ko ujala mangta hun
ishq mein hoti nahin hai had koi diwane-pan ki
raushni jis ki meri aankhon ko KHira kar chuki hai
rakh kar ke chhoD degi ab hararat is badan ki
dekh ke raste ke manzar sab ke sab the gharq-e-hairat
yaad aise mein bhala aati kise apne watan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.